Kal raat achanak bhook lag gayi aur samajh nahi aaya kahan jaun. Ghoom phir ke Tolichowki ke ek chote point pe pahunche, late-night shawarma aur chai li, aur us waqt woh alag hi level pe lagta hai.
Ab batao yaar, aap logon ki go-to late-night spot kaunsi hai? Woh jagah jahan 1-2 baje bhi kuch garam garam mil jaaye. Biryani, chai, shawarma, mosambi juice, kuch bhi chalega.
Naam ke saath area bhi likhna, taaki baaki sab bhi try kar sakein.