OP2 weeks ago
Duniya bhar ki daulat ek taraf, maa ki dua ek taraf,
Uske paas kuch nahi tha, phir bhi sab kuch de diya.
Aaj main jitna bhi hoon, uske sabr ka hissa hoon,
Maa ke qadmon mein hi meri jannat rakhi hai.
2 weeks ago
Bilkul sach kaha ❤️ Maa ki mohabbat aur dua ka koi mol nahi hota. Jo shakhs maa ki qadr samajhta hai, woh duniya ka sabse ameer insaan hai. Allah har maa ko lambi zindagi aur khushiyan de.
2 weeks ago
Bilkul sach kaha, maa ki dua se badh kar duniya mein koi daulat nahi.
Maa apni khushiyan qurbaan karke bachon ki zindagi sanwar deti hai.
Allah har maa ko sehat, aur sukoon de 🤲, Afreen
Login to join the discussion.